Description
Friends aaj kal kiske pas mobile nhi hai aaj kal har koi mobile rakhta hai aur har koi apne mobile ko lekar bahut hi jyada sawdhan rehta hai aise me Mobile ko charge krne se leke bahut hi Logo ke man me shanka rehti hai ki agar ham mobile ko charge me lagakar chalate hai ya Charge me laga ke sote h to battery kharab ho jaati hai . Lekin aaj mai apko bataunga ki kya sch me apka mobile Ka battery damage hota h agar aap apne mobile ko charge me lagakr sote hai.
Sabse pahle aap ke chij samajh lo ki kisi bhi kisse ke 2 pehlu hote hai ek acha aur ek kharab To aaj mai aise hi apko 2 reason bataunga in sab problem ki Aap khus judge kar payenge ki kya mobile ko charge me lagakr chalane se ya raat bhar charge krne se Kya apka battery kharab ho jayega ya nhi.
Can the battery be damaged if we use it while Charging?
- Sabse phle mai apko ye bata du ki battery kharab koi hota hai . Jab aap apna mobile charge me lagakr use karte hai to apka mobile heat hota hai aur battery jiske wajah se damage ho jata h. Jab aap apna mobile charge me lagate ho aur apka mobile Fast charging support karta hai to apka mobile Heat hona ek aam samasya hai aur aap ise bache aur apne battery ko surakshit rakhe av mai apko batata hu kaise.
- Sabse phle jab bhi aap mobile charge kre Dhyan rakhe ki room ka ya us jagah ka temperature jaroor check kre ki kahi waha bhut jyada garmi to nahi ya bahut jyada garam jagah pe kbhi apne mobile ko charge na kre. Aur jab bhi mobile Charge kre to aap apne mobile ka Cover nikal de agar apke phone me heating issue hai to aap apne mobile ka cover nikal kr hi mobile charge kre aur dhyan de ki mobile charge karte wakt apke mobile ka screen niche ke taraf ho.
- Mobile charge krte wakt ek aur galti jo bahut jyada log karte hai wo hai ki aap apne mobile ko bed par rakh kar charge karte hai aur wo bhi mobile ka screen uper karke jiske wajah se apka battery heat hone lagta h jo ki bahut jald battery ko damage kar skta hai aur bhut jyada heating ke wajah se battery ful kar fat bhi jata hai.
What happens when you charge mobile overnight ?
Jab ham apna mobile raat bhar charge karte hai to apka phone heat hone ka chance rehta h kyuki agar aap bed pe rakh ke charge kr rhe ho . Raat me mobile jab hm charge me lagate hai to Apka mobile ke battery me koi bhi dikkt nhi aati hai. Kyuki av jo bhi smartphone market me aa rhe h usme auto cut option rehta hai . Jab apka mobile full charge ho jata h to to apka charger auto disconnect ho jata h. Fir jaise hi apka battery 96% se kam hota h waise hi apka mobile fir se charge hona start ho jata h is wajah se apka battery safe rehta h to jab bhi aap apna mobile charge me laga kar chhor dete ho to aap tension na lena kyuki apka battery safe rhega.
Excellent article. I certainly love this website. Keep writing!