How to speed up your internet

Posted on

How to speed up your internet

Ajkal Internet ka istemal kon nahi krta .Aise me sabhi ko slow speed internet ka samna to jarur krna pada hoga to aaj mai apko inhi kuch mukhya karan bataunga ki kaise aap apne internet ko fast kr skte hai aur jha par apka internet bilkul bhi nahi chal rha wha bhi aap apne Internet ko istemal kr skte hai.

Abhi mai apko kuch aise points bataunga jise aap follow krke asani se internet speed ko boost kr skte hai.

1. Clear Cache Of Browser.

Doston ye galti aksar bahut log karte hai ki 1 browser me bahut sara tab open krke rakhte hai aur jab aap net on krte hai to background me wo sare tab refresh hone lagte hai aur apka data wha consume hone lagta hai aur aap smjh nhi paate ki net slow kyu ho gya. Isliye aap apne Kisi bhi browser me jyada tab open krke na rakhe. Kam se kam mahine me 1 ya 2 baar apne browser ka cache clear kre Jise apke Internet ke speed me dikkt na aaye.

2. Clear Cache Of Apps.

Background me bhi bahut sare aise apps hai jo run krte rehte h To aap is baat ka dhyan jrur de ki Aap un apps ka bhi cache clear kre Jo internet se use hoti h kyuki ye apps background me bahut data consume krti hai aur hme pta bhi nhi chalta ki kyu hmara internet slow ho gya ya bhut jyada data use ho rha h.

3. Turn off backup in Whatsapp.

ajkl bhut sare aise apps hai like whatsapp me aap backup ka option on rakhte hai aur whatsap apke chats, videos & images ko background me backup karta rehta hai aur apka data slow ho jata hai aur aapka bahut data consume hone lagta hai to is baat ka dhyan jarur de ki apka backup ka option jarur band ho.

4. Turn Off Backup in Google Photos.

Bahut saare log aise bhi hai jinko nahi pata ki google photos pahle se apke phone me installed rehta hai aur jaise hi aap apna gmail login karte hai wo apke photos aur videos ko backup kr leta hai aur jab bhi apke phone me koi naya video ya photos aata hai wo automatically backup ho jata hai . Aise me apna google photos app open karke settings me jaaye aur backup option ko turn off jarur kare.

5. Re-start your phone.

Re-start ek aisa solution hai jo apke bhut sare problem ko ek baar me fix kar deta hai to aap jarur apne phone ko din me ek baar re-start kare jise wajah se background me chal rhe apps to clear honge hi sath hi apka data bhi shi tarike se kaam krega.

6. Check data usage and restrict App.

Aapko kabhi kabhi ye nhi pata hota ki apke phone me kitna data kis particular app ne consume kiya hai isliye aap nhi smjh paate ki apka data slow aur itna teji se kaise khatam ho jata hai . Aise me aap apne phone ke setting me jaake data usage search kre aur dekhe ki kis app ne kitna data consume kiya aur kya aap us App ko use krte hai agar ha to koi baat nhi agar aap kisi App ka istemal nhi krte fir bhi wo background me data consume kar rha to aap us app pe click karke jarur restrict background activity on kre . Ise apka data usage bhi kam hoga aur sath hi apka internet bhi fast chalna start ho jayega .

Ye the kuch aise tips jisko aap use kre to 100% apka internet fast chalega aur apka Data bhi save hoga. Is trick ko apply karna bilkul na bhule aur Apna feedback bhi jarur de .

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *